Coding Website Kese Bnate Hai -Full Detail In Hindi

  Coding Website Kese Bnate Hai -Full  Detail In Hindi
Hello Friends Kese Ho Aap Sab Ajj Me Apko Ek Website Bnane Ka Purra Procedure Btane Wala Hu Jo Ek Website Bnane Ke Liye Jrruri Hai-

Create HTML &PHP Websites
1-Sbse Pehle Aapko Html Aur Php Ki Codding Karke Apni Website Apne Computer Me Teyar Karni Hai
Ye Coding Aap Coding Editor Software Ka Use Karke Kar Sakte Ho.Best Coding Editor Softwares Hai  (Notepad,Notepad+,Dreamviewer,Netbeans,Sublime TexEditor).Yanha Hm Html Use Karke Website Ka Front  End Teyar Karege Aur Php(Pre-Processor Hypertext) Ka Use Karke Website Ke Function(Back End) Set Karoge .

Front End-Front End Ka Mtlb Hota Hai Ki Kisi Be Website Me Jo Hame Website Ke Web Pages Unka Style Dikhayi Deta Hai .
Back End- Back End Ko Ham Dekh Nhi Sakte Isme Website Ki Functioning Ati Hai   .Yanha Ham Php Ka Use Karte Hai Website Ko Dynamic Bnane Ke Liye

Html(Hypertext Markup Language)-Webpage Ki Basic Layout Or Designing Karne Ke Liye.
Css-(Castcading Styling Sheet)-Css Ka Use Karke Ham Apne Website Ko Stylish Bnate Hai
Php(Pre-Processor Hypertext)- Website Ko Dynamic Bnane Ke Liye.Example-Jesa Ki Aap Kisi Be Website Me Dekhte Ho Ki Ek Contect Form Hota Hai Us Contect Frm Me Ham Name Detail Etc Fill Karte Hai Or Submit Kar Dete Hai.
Aur Wo Data Website Owner Ke Pass Chala Jata Hai,Ye Sare Fuction Php Ki Help Se He Kiye Jate Hai.
Bootstrep-Ham Apne Website Me  Bootstep Ka Be Use Karte Hai Website Ko Jyada Stylish And Responsive Bnane Ke Liye. Bootstrep Ka Use Karne Se Ham  Apne Website Ko Mobile  Friendly Bna Sakte Hai.Jesa Ki Aap Jyadatr Dekhte Ho Ki Koi Website  Mobile Me Alag Type Se Khulti Hai Or Computer Me Alag Trah Se …Means Website Screen Ke Hisab Se Khud Ko Adjust Kar Lete Hai Ye Sab Bootstrap Ki Madad Se He Kiya Jata Hai….

Jquery-Jquery Ka Use Be Website Me Designing  Karne Ke Liye Kiya Jata Hai ….Iska Use Karke Ham Website Me Slider ,Slideup,Slide Down,Hide/Show,Animation,Alerts,Confirm Box,Validation In Forms Etc Bhut Se Function Use Kar Sakte Hai ……Jo Ki Hmare Website Ko Bhut He Attractive Bna Dete Hai.Visitors Jyadatr Isi Trah Ki Designing Wali Websites Ko Psand Karte Hai.


Client Side Languages-Html,Css,Bootstrap,Jquery Ye Sabhi Client Side Hai Inka Use Aap Simply Apne Computer Par Kakre Inhe Web Browser Par Run Karwa Sakte Ho
Server Side Scripting—Php Server Side Scripting Language Hai
Iske Liye Hame Server Ki Jrrurt Hoti Hai Php Program Run Karwane Ke Liye. Ap Koi Be Server Use Kar Sakte Hai-


Choose Domain Name-
Website Offline  Teyar Kar Lene Ke Bad Hmara Next Step Hota Hai  Ki Ham Apne Liye Ek Domain Name Choose Kar Lijiye  Domain Hmesha Kam Word Wala Use Kare Jo Ki   Log Asani Se Yad Rakh Sake-
Wrong Domain Name- Gajabwapwebinhindi.In
Good Domain Name-Webinhindi.Com
Hmesha .Com Wale Domain Name Choose Kare Kiunki Ye Sbse Bdiya Hai Commercial Use Ke Liye.




Webhosting-
Ab Hmara Next Step Hota Hai Hosting Buy Karna ……Hosting Ka Matlab Hota Hai Ki Space Kisi Chij Ko Rakhne Ke Liye Jese Ham Apne Mobile Ki Space Me Videos,Images Etc Store Karte Hai Usi Trah  Hme Hmare Html Files Aur Php,Css Files Etc Ko  Online Store Karne Ke Liye Space Ki Jrrurt Hoti Hai Jise Webhosting Kaha Jata Hai.To Hme Hmesha Ek Achi Webhosting He Buy Karne Chahiye,Hostgater And Godaddy Best Webhosting Provide Karte Hai…Inka Customer Support Be Bhut Acha Hai Agar Apki Hosting Me Koi Problem Ati Hai To Apko Customer Care Ka Pura Support Milta Hai Webhosting Ki Problem Ko Solve Karne Ke Liye.


Webhosting  Aur Domain Name Ko Connect Karna-
Ab Hmara Next Step Webhosting And Domain Name Ko Connect Karna Hota Hai  Agar Ham Webhosting And Domain Name Ek He Company Se Buy Karte Hai To Hame Ise Connect Karne Ki  Jrrurt Nhi Hoti But Agar Ham Alag Alag Company Se Domain Name And Hosting Buy Karte Hai To Inhe Connect Karna Jrruri Hota Hai


Website Ko Online Server Par Upload Karna-

Last Kam Hai Website Ko Server Par Upload Karna  Ye Kam Aap Filezilla Software Ka Use Karke Kar Sakte Ho .Ya Fir Simply Aap Webhosting Me Login Karke Apni Files Upload Kar Sakte Ho But Ye Process Bhut Lamba Hai Isme Bhut Time Lg Jata Hai Iske Liye Me Apko Filezilla Software Ka Use Kakre File Upload Krne Ka Trika Btaunga Jo Apke Liye Kaffi Helpful Hoga Bhut He Kam Samaye Me File Upload Karne Ke Liye-
Filezilla Open  Kare
1-Host-Yanha Host Name Dale Host Name Aap Apne Website Ke Customer Care Ya Unki Website Se Pta Kar Sakte Hai
2-Username- Hosting Username Enter Kare
3-Password-Apne  Hosting Ka Password Enter Kare


  Coding Website Kese Bnate Hai -Full  Detail In Hindi


Ab Quickconnect Par Click Kar De Apka Hosting Se Filezilla Connect Ho Jayega Ab Aap Easily File Online Server Par Transfer Kar Sakte Ho Upload Option Ka Use Karke.
Me Ummid Karta Hu Ki Ye Post Apko Achi Lgi Hogi Agar Apka Koi Be Swal Hai To App Mujse Comment Me Puch Sakte Hai Ya Contect Form Par Mujhe Message Kar Sakte Ho.
 Ap Mere Dwara Bnaye Gye Kuch Demo Website Check Kar Sakte Ho Jo Mene Coding Use Kakre Bnaye Hai                                                   
Also Read-

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
sam thakur
admin
14 March 2018 at 07:12 ×

achi post hai sir mujhe website bnanai hai mere help kijiye plz mere website par mujse contect kijiye rahulboy231@gmail.com

Congrats bro sam thakur you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment