Computer User Ke LIye 13 Jrruri Softwares

Computer User Ke LIye 13 Jrruri Softwares
Hello Friends Web In Hindi Me Apka Swaggat Hai Sbse Pehle To Apka Bhut Dhnyawad Jo Aap Hmare Website Me Akar Hmare Post Read Krte Ho Ab Me Apka Jyada Time Na Lete Hue Main Topic Par Ata Hu
Ajj Me Apko Kuch Software Ke Bare Me Btane Wala Hu Jinka Apke Computer Me Install Hona Bhut Jrruri Hai Agar Ye Software Apke Computer Me Nhi Hai To Apka Computer Kisi Kam Ka Nhi Hai.

Computer User Ke LIye 13 Jrruri Softwares


1. Adobephotoshop-

Ab Bat Ati Hai Photoediting Ki To Iske Liye Photoshop Sbse Best Software Hai Computer User Ke Liye .Jese Ajkl Ke Time Me Hm Bhut Adhik Social Sites Ka Use Karte Hai Or Kai Log To Ese Hote Hai Jinhe Social Sites Pr Apni Photo Ko Edit Krke Dalne Ka Bhut Shok Hota Hai Unke Liye To Ye Software Bhut He Jrruri Hai Is Software Ki Mdad Se Hm Apni Photo Ke Sath Kuch Be Kr Skte Hai Like-Backround Change Krna,Passportsize Photobnana,Hd Photo Bnana Or Be Bhut Kuch Me Likhte Likhte Thak Jaunga Bt Photoshop Ke Features(Use )Khtm Ne Hoge .To Dosto Aap Khud He Smajh Gye Ho Ki Photoshop Ke Itne Features Hai Jinki Hm Ginti(Counting) Ne Kar Skte.

2.Adobe Reader-
Adobe Reader Ek Free Program Hai Jo Pdf File Ko Open Krne Ke Liye Use Kiya Jat Hai.Pdf File Ka Uslm Ye Hai Ki Us File Me Image,Text,Book Esa Kuch Be Ho Skta Hai.Ajkl Information Share Karne Ke Liye Pdf Bhut Adhik Use Ki Jatti Hai Iske Liye Adobe Reader Hmare Computer Ya Laptop Me Install Hona Bhut Jrruri Hai.

3.Free Screen Recorder Software-
Dosto Ye Software Un Logo Ke Liye Bda Useful Hai Jo Apne Laptop Ya Computer Ki Screen Ko Record Krna Chahte Hai Means Video Bnana Chahte Hai.Apne Youtube Pr Dekh Hoga Ki Log Apko Kuch Be Tutorial Dete Hai Online To Apke Man Me Swal Ata Hoga Ke Ye Video Kese Record Krte Hai To Dosto Yhi Vo Software Hai Jiski Madaad Se Vo Apne Computer Ki Video Bnakar Use Record Krte Hai Or Bad Me Youtube Pr Upload Kr Dete Hai Janha Hai Hm Bhut Kuch Learn Kr Skte Hai .

4.Google Chrome-
Google Chrome Ek Web Browser Hai Jiska Use Internet Access Krne Ke Liye Kiya Jata Hai .Ye Ek Jrruri Software Hai Hm Sbhi Ke Liye .Iska Use Html Me Be Kiya Jata Hai Jese Hm Koi Be Webpage Create Krte Hai To Use Run Krne Ke Liye Be Webbrowser Ki Jrrurt Hoti Hai To Hm Iska Use Krke Webpages Ko Be Run Krwa Skte Hai. Or Be Kuch Web Browser Hai Jinka Mostly Use Kiya Jat Hai-Safari,Mozila Etc En Sbhi Browser Ka  Ek Computer User Ke Computer Me Install Hona Jrruri Hai.

5.Lightshot-
Lightshot Ek Software Hai Jiska Use Computer Me Screenshot Lene Ke Liye Kiya Jata Hai .Wese To Ye Screenshot Software Sbhi Logo Ke Liye Bhut Useful Hai Bt Agar App Ek Blogger Ho To Apko Ese Jrrur Install Krna Chahiye Kiunki Aap Jante Ho Ki Apko Apni Blog Post Me Dalne Ke Liye Kbhi Be Kisi Screenshot Ki Jrrurt Pad Skti Hai .To Agar Pne Ise Abhi Install Nhi Kiya Hai To Jrrur Kr Le.

6.Software Clean Master-
Software Clean Master Ki Madad Se Aap Apne Computer Ko Scan Kar Skte Ho  Es Software Me Vo Sbhi Function Hai Jo Ek Scanning Software Me Hone Chahiye Isse Aap Apne Computer Ki Sbhi History Ko Mitta Skte Hai Or Computer Ki Startup File Ko Manage Kar Skte Hai Jiske Apka Computer Jaldi Se Start Hoga.Ye Software Hmare Liye Bhut Useful Hai Or Iska Size Be Bhut Kam Hai Only 4mb.To Me Apko Suggest Krta Hu Ki Aap Is Software Ko Download Krke Apne Computer Me Install Kr Lijiye.


 7.Mp3teg Tool-
Is Tool Ki Madad Se Hm Kisi Be Song Pr Apne Pasand Se Photo Lga Skte Hai.Sbse Bdi Bat To Ye Hai Ki Iska Size Bhut Kam Hai Only 2 Mb To Hme Downloading Me Be Jyada Internet Use Krne Ki Jrrurt Ne Hai.

 8.Eagleget-
Eagleget Ek Software Hai Jiski Madam Se Hm Youtube Se Video Download Kr Skte Hai.Is Aap Ki Khasiyat Ye Hai Ki Jb Hm Ise Apne Computer Me Install Kr Lete Hai To Hmare Web Browser Ke Right Top Me Eagleget Ki Extension Ka Icon Add Ho Jata Hai Bs Jb Be Hm Youtube Pr Kisi Be Video Ko Open Krte Hai To Isme Automatically Video Ko Download Krne Ka Option A Jata Hai.Video Ko Aap Kisi Be Format Me Download Kr Skte Ho Audio,3gp,Mp4,Hd Kisi Be Print Me .Eagleget Software Ke Version Ke Expire Hone Ka Be Koi Problem Nhi Kiunki Ye Free Hai To Isme Idm(Internet Download Manager) Ke Trah Problem Nhi Ati.

9.Utorrent-
Ye Ek Bhut He Light Weight Software Hai Iska Use Downloading Ke Liye Kiya Jata Hai.
Iski Madad Se Hm Kuch Be Download Kar Skte Hai Toorent Se.

10.Malware Bytes-
Malware Bytes Ek Acha  Tool Hai Ye Hmare Computer Se Malicious Aur Infacted Files Ko Remove Kar Deta Hai Or Sath He Iska Sbse Bda Feature Ye Hai Ki Ye Hmare Computer Ki Performance Ko Optimize Karta Hai.

11.Folder Lock-
Folder Lock Software Ki Madad Se Hm Kisi Be Folder Me Password Lgakar Apni Files Or Data Ko Secure Rakh Sakte Hai.Security Ki  Najar Se Ye Bhut Jrruri Hai.

12. Sandboxie-
Is Software Ka Use  Virus Ki Testing Karne Ke Liye Kiya Jata Hai.  Hm Koi Be Application Ki Internet Se Download Karne Ke Bad Use Sandboxie  Me Run Krwakar Check Kr Skte Hai Ki Wo Application Infacted Hai Ya Nhi Means Usme Virus Hai Ya Nhi.

13.Notepad++
Notepad++ Ek Free Aur Best  Text Editor Hai Programming Language Ke Liye Iska Mostly Use Php,Html,Css,Javascript,Xml,Jquery Etc Ke Liye Kiya Jata Hai
 Dosto Me Ummid Krta Hu Ki Apko Mere Post “Computer Users Ke Liye 13 Jrruri Softwares
Achi Lgi Hogi.
Thank You
Team Gajabwap Web In Hindi
Also Read
Previous
Next Post »
Thanks for your comment