Localhost Se Email Kaise Bheje-Full Detail In Hindi


Hello Friends Ajj Me Apko Btaunga Ki Kis Prakar Aap Apne Computer(Localserver) Se Email Send Kar Sakte Ho  ..Sabse Pehle Jan Lijiye Iske Bare Me-
Localhost Se Email Kaise Bheje-Full Detail In Hindi

Php Mailer Libarary-Php Mailer Libarary Ki Help Se Ham Email Send Kar Sakte Hai Apne Webshosting Se Sath He Ye Hame Localhost Hmare Computer Se Be Hame Email Send Karne Ke Service Provide Karti Hai.Pehle Email Mail Function() Ka Use Karke Bheji Jati The But Iske Karan Kai Bar Mail Send Failed Ho Jati The Or Kai Bar Mail Email Me Spam Folder Me Jati The ,Iski Problem Ke Solution Ke Liye Php Mailer Liberary Function Bnaya Gya .
Advantages-Php Mailer Me Email Stmp Ke Dwara Bheji Jati Hai Isiliye Ye Secure Method Hai Mail Send Karne Ka .Jab Be Ham Php Mailer Ka Use Karke Mail Send Karte Hai To Hmare Mail Always Inbox Mejati Hai


Requirement(server) Software(Koi Be Ek Software Download Kar Lijiye)-
Wamp
Xamp
Lamp
 Ab Aap Ise Install Kar Lijiye Apne Computer Me .

Steps-
·         Sabse Pehle Ab Apko Php Mailer Liberary Ki Jrrurt Padegi  Jiska Mene Niche Link Diya Hai Aap Yanha Se Download Kar Lijiye


·         Apne Jo File Download Ki Hai Ye File Zip File Hai Ise Aap Extract Kar Lijiye
·         Ab Extracted Folder Ko Xamp(Jo Be Server Apne Download Kijya Hai) Server Ke Ander  Move Kar Lijiye
·         Steps For Move-Copy The Folder>>>>Go To Mycomputer>>>>Go To Local Disk>>>>>Xamp>>>>> Open Htdocs>>>>> And Paste Here The Extracted Folder
·         Ab Apne Jis Folder Ko Yanha Post Kiya Hai Aap  Us Folder Ko Open Kijiye

·         Yanha Apko Mail.Php Name Ki Ek File Dikhegi

·         Is File Me Aapko Kuch Changes Karne Hai Iske Bad Aap Easily Apne Computer (Localserver) Se Email Send Kar Sakte Ho.

·         Ab Aap Mail.Php File Ko Notepad Ya Kisi Be Text Editor Software Me Open Kar Lijiye Jo Be Apke Computer Me Install Hai

·         (Agar Apke Pass Koi Editor Nahi Hai To Aap Notepad++ Ko Download Kar Lijiye Ya Fir Aap Notepad Me Be Open Kar Sakte Hai)

·         Ab Aap Mail.Php File Ko Open Kar Lijiye Yanha Apko Kuch Detail Dalni Hai Apne
Localhost Se Email Kaise Bheje-Full Detail In Hindi

Username-Yanha Aap Apne Gmail Id Enter Kijiye

Password-Yanha Apne Gmail Id Ka Password Daliye

From-Yanha Apne Gmail Id Dale

Formname-Yanha Apne Email Id Enter Kijiye Ya Fir Kuch Be Form Name

Addaddress-Yanha Aap Us Email Id Ko Daliye Jis Email Id Par Aap Email Bhejna Chahte Ho
Localhost Se Email Kaise Bheje-Full Detail In Hindi

Subject- Yanha Aap Subject Daliye Jo Be Aap Dalna Chahte Hai

Body –Yanha Aap Contant Likhiye Means Message Likhiye Jo Be Aap Bhejna Chahte Ho

Ab Aap Save Par Click  Kardigiyee
Means File Ko Save Kar Dijiye


Ab Apko Thodi Se Setting Apne Gmail Account Me Karne Hogi Iske Liye Aap Niche Diye Gye Link Par Click Karke Setting Kar Lijiye.





Iske Liye Apko Apne Gmail Account Me Less Secure Apps Ko Access Allow Karna Hoga Ise Aap Upar Diye Gye Link Se Allow Kar Lijiye

Ab Apka Gmail Setting Ka Account Pura Ho Gya Hai.

Ab App Easily Email Send Kar Sakte Ho

Steps-
·         Sabse Pehle Start Par Click Kijiye Yanha Se Apne Server(Wamp/Xamp/Lamp) Etc Start Kar Lijiye
·         Ab Aap Yanha  Kisi Be Browser Me Locahost/mail Open Kijiye
·         Ab Aap Ko Screen Par Message Show Hoga Ki “Your Mesaage Is Successfully Send” Ka Message Show Hoga

Note-Ek Bat Ka Dhyan Rakhe Jab Be Apko Localserver Se Mail Bhejni Hai To Apka Localserver(Wamp/Xamp) Start Hona Chahiye And Apka Computer Me Internet On Hona Chahiye.
  

Is Parkar Aap Easily Apne Localserver Se Email Bhej Sakte Hai Me Umid Karta Hu Ki Apko Mere Ye Post Achi Lagi Hogi  Agar Apko Localeserrver Se Email Bhejne Me Koi Be Problem A Rhe Hai To Aap Mujse Comment Me Puch Sakte Hai Me Apki Puri Sahayata Karunga
Thank You
Team Gajabwap Web In Hindi
also read-

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
sam thakur
admin
7 April 2018 at 06:28 ×

sir bdiya post hai kaffi helpful hai New blogger ke liye

Congrats bro sam thakur you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment